Type Here to Get Search Results !

LNMU PG Admission Details, Fees, Date, College, Documents Session 2021-23 - LNMUNOTES.in

LNMU PG Admission 2022 Session 2021-23

Lalit Narayan Mithila University Darbhanga (LNMU DARBHANGA) ke Session 2021-23 me PG Semester 1 me Admission 25 March Se Start hai. Ye Post PG Admission me jo ducuments jaruri hai  ya fees or baaki deatils par likha gaya hai. Ye Post aapke liye ek FAQ ya sawal jawab wala post hone wala hai, iss me aapko LNMU ke kisi bhi College me PG me Admission me help kar sakta hai. 

PG Admssion me kya sab jaruri hai, LNMU Me pg me Admission kaise hoga
PG Admission LNMU Darbhanga


Iss Post me jo baatein kahi gayi hai wo hai :

  1. LNMU me PG me Admission kab se kab tak hoga ? 
  2. PG me admission ke liye kya sab Documnets Jaruri hai ?
  3. CLC Certificate nahi hai to PG me Admission kaise hoga ?
  4. LNMU me PG me Admission online hoga ya offline ?
  5. Admission ke liye Income Certificate father ka ya husband ka ?
  6. LNMU University me PG me Class Karna Jaruri hai kya ?
  7. LNMU ke PG ka Syllabus kya hai or kahan se Download kare ?
  8. LNMU PG me Admission Fee Kitna hai ?

LNMU me PG me Admission kab se kab tak hoga ? 

Mithila University Darbhanga Me Session 2021-23 ke liye first/1st merit list ke adhaar par PG Semester 1 me College me Admission 25 March 2022 se 5 April 2022 tak liya jayega. Jinka Selection first merit list me hua hai wo 5 April tak College me Admission lenge. 
  • Admission Start - 25 march 2022
  • Last Date - 5 April 2022

PG me admission ke liye kya sab Documnets Jaruri hai ?

  1. Passport Size Photo
  2. Common Application Form (CAF) - Matlab aapne PG ke liye jo online apply kiya tha wo wala form
  3. PG Selection Letter - First merit list ka Selection letter Download karke Prinout nikal lijiye  SELECTION LETTER DOWNLOAD KARNE KE LIYE  YAHA CLICK KIJIYE   
  4. Graduation (BA/BSC/BCOM) Registration card ka photo copy - har college me nahi maangta phir bhi aap apna registration card ready rakhiye 
  5. Part 3 ka Admit card 
  6. Part 3 ka Marksheet - Net se Download kiya hua chalega filhal ke liye 
  7. CLC Certificate (Original) - CLC nahi hai to kya kare niche likha hua hai.
  8. Caste Certificate/Category certificate (jaati praman patr)
  9. Income Certificate (Aay Praman patr)
  10. Migration Certificate - dusre board se hai ya dusre university se hai to 

Agar kisi College me Online Admission ho arah ahi to aapka Signature,Mobile NO. Email Id bhi lagega. Or Adhhar to aapko pata hi hai lagega.  

CLC Certificate nahi hai to PG me Admission kaise hoga ?

Bina CLC ke Admission lene ke liye University ne Notice Jaari karke kaha hai ki " Abhi UNIVERSITY NE KISI BHI COLLEGE KO TR JAARI NAHI KYA HAI " .
College aapko CLC tab dega jab aapke pass marsheet rahega or jo marsheet aapne online downlaod kiya hai usse aapko CLC nahi mila sakta hai. 
University College ko ek TR bhejegi Jisme aapka masksheet ke marsks likhe hote hai uss TR se apka Marsheet ko Match karke COLLEGE AAPKO CLC DEDEGI.

FILHAL aapka admission Bina CLC ke hi hojayega lekin kuch din baadh me aapko ORIGINAL CLC dena jaruri hoga, nahi to aapka admission cancell ho sakta hai.

Matlab ki aap abhi bina CLC ke bhi admission le sakte hai.

YAAD RAKHE ki Agar aapne Graduation (BA,BSC,BCOM) jiss college se kiya hai or PG me Admission bhi uss college me hi karna hai to CLC NAHI LAGEGA. College Change Karne se CLC ki jarurat hoti hai.

LNMU PG Admission 2022


LNMU me PG me Admission online hoga ya offline ?

Admission lena College ke upar hai, kuch college me online admission lena hota hai or kuch college me offline hota hi.

Apko jiss college me Admission lena hai usme online hoga ya offline ye baat aapko college ke admission notice aane ke baadh pata chal jayega .

Notice aapko LNMU NOTES ke facebook ya Telegram Group me miljayega to join kar lijiye .

Admission ke liye Income Certificate Father ka ya Husband ka ?

Apne jab online apply kiya tha PG me admisison ke liye tab aapne kaun sa address bhara tha ye dekh lijiye. 
Aapke Aadhar card pe jo address hai uss details se hi INCOME CERTIFICATE  banega "Income family ka hota hai" . Agar ladki ki SHADI ho chuki hai or aadhar par Father/Pita ka Address or naam hai to usse hi INCOME bana lijiye. Jada idhar udhar nahi karn ahai nahi to aapka admission chhut sakta hai. 

LNMU University me PG me Class Karna Jaruri hai kya ?

Agar aap University ke PG Department me admission le rahe hai to aapko class karna hoga. Baaki Darbhanga ke college sab me class bhi liya jata hai. R.k College,Madhubani ki baat kare to kuch subjects ke class liye jaate hai or kuch subject me aapko regular visitor banke rahna hoga matlab college me aana jana laga rahna chahiye, or agar aap class karna chahte hai to apne subject teacher se baat karke clas kark sakte hai.

Baaki sab college ka bhi yahi baat hai.

LNMU ke PG ka Syllabus kya hai or kahan se Download kare ?

Humare Site www.lnmunotes.in Par jaake Aap LNMU Darbhanga ke PG ke har subjects ka syllabus free me downlaod kar skate hai .

LNMU PG me Admission Fee Kitna hai ?

PG me Admission Fee College par bhi depend karta hai, matlab ki kuch college online admission leta hai or kuch college offline. kuch college me aapko college se ADMISSION FORM lena hoga jiska 100-150 rupees hota hai. 
Admission fee lagbhag 3000-4000 ke bich ata hai jisme kuch subject me practical hota hai or kuch me nahi hota hai . To jiss subject me practical hota hai usme fee jada hota hai or jiss subject me practical nahi hota hai usme fee kam hota hai. 

ye jo fee hai wo sirf semester 1 ke liye hai, PG me Total 4 semester hota hai or har semester me aapko admission lena rahega.

Girls/ST/SC ke liye fee kam ho sakta hai or nahi bhi.

Agar aapka koi or sawal hai to niche diye gaye link pe puchh sakte hai ..

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.